Sunday, July 14, 2019

ऐ मेरी हमसफ़र

*ऐ मेरी हमसफ़र तेरी जिंदगी को खुशियों से भर दूँ,*
*दिल चाहता है तुझे इतना चाहूँ,*
*कि हद कर दूँ*

#दिलसे
🥰😘 *हमसफ़र*👫

Tum Mile Mujhko, To Meri Zindagi Se *Lafz-e-Gum* fana Ho Gaya,

Tum Mile Mujhko,
To Meri Zindagi Se
*Lafz-e-Gum* fana Ho Gaya,

#DilSe

Hamsafar

Aye Meri Zindagi Aye Meri *Hamsafar*
Jab Tum Muskurate Ho,
Mere Dil Ko Khushi De Jate Ho,
Mere Soye Huye,
Dil Ke Armano Ko Chhed Jate Ho,
Jab Tum Muskurate Ho,
Yun Tadap Kar Jab Tum Mere Paas Aate Ho,
Dil Ke Jazbaton Ko Mere Jaga Jate Ho,
Nazrein Teri Talash Me Rahti Hain,
Dil Me Har Pal Tera Ehsas Rahta Hai,
Jabse Tu Hai Mujhko Mila,
Aisa lagta Hai,
Jaise Rag Rag Me Lahoo Banke Tu Mujhme Bahta Hai,
Sun Meri Zindagi Ki *Hamsafar*
TujhSe *DilSe* Dil Ki Baat Mai Kahta Hu,
Mujhe TujhSe Mohabbat Hai, Mai TujhSe Pyar Karta Hu,
Tu Mere Dil Me Rahti Hai,
Mai Tere Dil Me Rahta Hu,
Har-Pal, Har-Lamha Tu Yun Hi Mere Sath Rahe,
Ban Ke Meri *Hamsafar* Zindagi Bhar Tu Yun Hi Mere Sath Chale,
Rab Se Yahi *Dua* Har Baar Karta Hu...!!!

#DilSe

😍🥰😘 *Hamsafar*👫😘

Mere Dil Ki Duniya Meri Hamsafar

#Hamsafar Tu Mil Gayi Hai Mujhko,
To Lagta Hai Jaise Mil Gayi Ho Duniya Mujhko Poori,
Tu Jo Mere *_Dil_Ki_Duniya_* Ban Gayi Hai,
Tu Mujhko Mil Gayi Hai,
Mere Dil Ki Bagiya Khil Gayi Hai,
Tu Mujhko Mil Gayi Hai,
Zindagi Me Mujhko Har Khushi Mil Gayi Hai,
Tu Meri #Jaan Meri Zindagi Ban Gayi Hai,

#DilSe

🥰😘 *Hamsafar* 👫

Sarikey Hayat

Har Subah Ki Pahli Roshni Hai Tu,

Har Sham Ki Thandhi Fiza Hai Tu,

Mera Gurur Hai, Mere Dil Ki Rahat Hai Tu,

Har Raat Me Chamakte Chand C Raunak Hai Tu,

Koi Kuchh Bhi Kahe
Mere Liye Hai Gul-Badan, Khuboo-e-Gulab Hai Tu,

Jannat Ki Hoor Hai Meri
Sarikey Hayat
Tu Ruhey-Ashiqi Hai, Ek Hanseen Ghazal Meri Kitab Ki Hai Tu,

Meri Chahat, Mere Dil Ki Rahat,
Meri Ashiqi, Meri Zindagi,
Mere Mohabbat Hai Tu,
Meri Mohabbat Hai Tu...!!!

#DilSe

😍😍😍🥰🥰🥰😘😘😘
💞💕💖💓🌹💓💖💕💞
😍😘 *Hamsafar* 👫😍😘
💞💕💖💓🌹💓💖💕💞

Bahut Ajeeb

Aap Bahut Ajeeb Hain,
Itni Ajeeb Ki Bas...!!!

Meri Khushi Ke Liye,
Khud Ko Ansuon Me Dubo Leti Ho...!!!
Mere Dil Me Apne Liye Mohabbat Ko Aur Badha Deti Ho...!!!

#DilSe

Sukriya Hamsafar

Sukriya aye Mere *Hamsafar*
Meri Zindagi Me Aane Ke Liye,
Har Lamhe Ko Itna,
Khubsurat Banane Ke Liye,
Tu Hai to Hai Har Khushi Par Mara Naam Likh Gaya Hai,
Sukriya Mujhe itna Khush Naseeb Banane Ke Liye,

#DilSe

💞💕💖💓🌹💓💖💕💞
😍😘 *Hamsafar* 😘😍
💞💕💖💓🌹💓💖💕💞

Ristey Unse Mere, Kuchh Is Kadar Badhne Lage..!! Wo Mujhe Padhne Lage, Hum Unhe Likhne Lage..!!

Ristey Unse Mere,
Kuchh Is Kadar Badhne Lage..!!

Wo Mujhe Padhne Lage,
Hum Unhe Likhne Lage..!!

#DilSe

Dil Ki Dhadkan

Jis Pal Jis Ghadi Mai Aap Ke Hansi Lubon Par Muskurahat Ki Deed Pata Hu,
Din Bhar Ki Thakan, Duniya Bhar Ke Gum Us Pal Mai Bhool Jata Hu,
Mere Dil Ki Hasrat Hai,
Mere Dil Ki Tamanna Hai,
Tere Hansi Lubon Par Ban Ke Muskurahat Muskurana Chahta Hu,
Ban Ke Tere Dil Ki Dhadkan Mai Dhadakna Chahta Hu,

#DilSe
🥰😘 *Hamsafar* 👫

Haq

Gum Agar Koi Ho Tumko To Humse Na Chupana,
Sath Na De Zubaan To Aankhon Se Batana,
Har Kadam Par Saath Hain Hum Aapke,
#Hamsafar 👫 Banaya Hai To HAQ Zaroor Jatana...!!!

#DilSe

🥰😘Hamsafar👫

Mera Hamsafar

Mera Wajood Sirf Meri #Hamsafar Se Hai...!!!
Mujhe Ghuroor Bahut Apni #Hamsafar Pe Hai...!!!
Ki Hai #Hamsafar Se Mohabbat Mujhe Bepanah...!!!
Mujhe Zindagi Me Mila Sukoon Sirf Meri #Hamsafar Se Hai...!!!
Mujhko Pyare Mere Apne Bhi Hain Bahut...!!!
Magar Mujh Ko Mohabbat Sirf Apni #Hamsafar Se Hai...!!!
🥰😘 *_I Love You_* 😘

#DilSe
💞💕💖🌹🌹💖💕💞
😍😘#Hamsafar👫😘
💞💕💖🌹🌹💖💕💞

DilSe Rishta

DilSe Rishta Nibhane Ki Adaa Jo Tujhme Samaayi Hai,
Aye Meri #Hamsafar Ye Teri Sabse Khoobsurat Achchhayi Hai,
Ye Teri Adaa DilSe Mujhe Pasand Aayi Hai,
Aye Meri #Hamsafar Teri Aankhon Me Mujhe Mohabbat Be-Sumar Nazar Aayi Hai,
Ghumo Ke Daor Me Bhi Tum Sada Mushkurati Rahna,
DilSe Karna Qubool Tum Mujhe, Sada Yun Hi Mushkurati Rahna,
Daor-e-Gardish Me Bhi Meri #Hamsafar Meri Ham-Qadam Rahna,
Dil Iltiza Tujhse Yahi Hai Kare,
Jo Tere Hain Apne, Jinse Tu Mohabbat Hai Kare,
Juda Tu Khud Ko Unse Kabhi Na Kare,
Gam Ko Chhupa Kar, Dard-e-Dil Dil Me Basakar, Jo Tu Mushkurati Hai,
Sach Kahu Tere Lab Pe Ye Khilti Hansi, Tere Rukhsar Pe Ye Machalti Khushi, Dil Ko Mere Bahut Bhaati Hai,
Tujhko Du Mai Kuchh Bhi Es Kaabil Nahi Mai,
Tere Lab Pe Hanshi, Zindagi Me Teri Bahaaro Ki Mahfil Sajti Rahe,
Khush Rahe Tu Sada, Rab Bhi Tujhse Raazi Rahe, 
DilSe Yun Hi Sada Teri Khatir Dua Nikalti Rahe,
Tu Hai Meri Zindagi, Dil Me Mere Tu Ban Ke Dhadkan Dhadakti Rahe,
Tu Hai Meri Zindagi, Dil Tujhe Jaan Apni Kahe,

#DilSe

💞💕💖🌹❤🌹💖💕💞
😍🥰#Hamsafar🥰😍😘
💞💕💖🌹💓🌹💖💕💞

Ji Karta Hai,

Ji Karta Hai,
Tere Paas Aaun,

Tere Paas Aake Ruk Jaun,

💖
Tere Samne Baithu, Kuchh Na Bolu,
Bas Tujhe Mohabbat Bhari Nigah 😍 Se Dekhta Rahu,💖

Ji Karta hai,
Apne Labon Ki Hansi Tere Lab Pe Sajaun,
Ji Karta Hai,

#DilSe

Tera Deewana

Mere Dil Ko Ab Rahat Chahiye,
Mujhko Ab Teri Chahat Chahiye,
Mujhko Bahon Me Bhar Le Tu,
Mujhko Ab Teri Mohabbat BePanaah Chahiye,
💞💕💓😍💓💕💞
💞Meri Hamsafar👫💞
Tera Deewana Ab Tujhse Pyar Mangta Hai,
Behad aur BeSumaar Mangta Hai,
💞💕💓🥰💓💕💞
😍😘I Love You😘😍
💞💕💓🥰💓💕💞
#DilSe

Mere Dil Ko Apne Dil Ki Dhadkan Suna De, Mujhko Ab Seene Se Laga Le, Teri Mohabbat Ka Pyasa Hu, Mere Dil Ki Pyas Bujha De,

Mere Dil Ko Apne Dil Ki Dhadkan Suna De,
Mujhko Ab Seene Se Laga Le,
Teri Mohabbat Ka Pyasa Hu,
Mere Dil Ki Pyas Bujha De,

#DilSe

💞💕💓🥰💓💕💞
💞#Hamsafar👫💞
💞💕💓😍💓💕💞

I Miss You

Is Tadapte Dil ❤ Ko Karar Aa Jaye,
Agar Tu Tadap Ke Mere Paas Aa Jaye,
Is Bechain Dil ❤ Ko Karar Aa Jaye,
Meri Nazron Ko Agar Tera Deedar Ho Jaye,
Machal Raha Hai Dil ❤ TujhSe Milne Ko,
Aa Ke Lag Ja Galey Ab Mere Dil ❤ Ko Sukoon Aa Jaye,
I Miss You 😢😍🥰😘

#DilSe

Mai Tumse Pyar Karta Hu

Khush Nashib hu Itna,
Ki Kishmat Pe Naaz Karta Hu...!!!
Zindagi Me Mila Hai #Hamsafar Aisa,
Jisko Mai Apni Zindagi Kahta Hu...!!!
Kar Du Khoobi Uski Mai Bayan,
Lafzon Ka Kaha Mai Itna Hunar Rakhta Hu...!!!
Likhta Hu Jab Bhi Usko,
Mai Be-Mishaal Likhta Hu...!!!
Suno Mai #DilSe Kahta Hu,
Mai Tumse Pyar Karta Hu...!!!🥰
Mai Tumse Pyar Karta Hu...!!!🥰
Mai Tumse Pyar Karta Hu...!!!🥰

#DilSe

💕💞💕💓💕💞💕
😍😘Hamsafar😘😍
💕💞💕💓💕💞💕

Honthon Par Rakh De Honth Mere, Aise Pyar Ka Wo Izhar Kare, Dil Ki Hasrat Machal Rahi Hai, Dil Chahat Badal Rahi Hai,

Honthon Par Rakh De Honth Mere,
Aise Pyar Ka Wo Izhar Kare,
Dil Ki Hasrat Machal Rahi Hai,
Dil Chahat Badal Rahi Hai,
#DilSe Laga Kar Mujhko Gale,
Aise Wo Mere Pyar Ka Iqrar Kare,
Ho Jaye Mere Dil Ki Hasrat Puri,
Jitna Mai Karta Hu, Wo Bhi Mujhse Pyar Kare,
Dil Ki Chahat Badal Rahi Hai,
Dil Ki Hasrat Machal Rahi Hai,

#DilSe

Mohabbat Ka Sagar

Mohabbat Ka Sagar Chhalakne Laga Hai,
Tu Sans Bankar Dil Me Dhadkane Lagi Hai,
Tere Aane Se Meri Zindagi Me Bahar Aa Gayi Hai,
Tere Khayalon Ki Mujh Par Bekhudi Chha Gayi Hai,
Kadam Zindagi Ke Ab Bahakne Lage Hai,
Mere Khwab Ab Hakikat Banne Lage Hai,
Meri Nigahon Me Jugnoo Chamakne Lage Hai,
Teri Yaad Me Hum #DilSe Tadapne Lage Hai...!!!

#DilSe

Dil Ki Iltija Mujhko Tujhse Pyar Hai

Dil Ki Ab Ye Iltija Hai Tujhse ,
Ab Tu Hamse Kabhi Khafa Na Hona ,
Gar Ho Jaye Ab Koi Khata Bhi Mujhse ,
Par 
Ab Tu Hamse Kabhi Kafa Na Hona , 
Mai Pagal Hu Mai Nadan Hu,
Ye Sonch Kar Tu Mujhko Muaf Kar Dena ,
Teri Mohabbat Pe Mujhko Bahut Naaz Hai ,
Sach Kahu Tu Dil Ki Bahut Saaf Hai,
Tera Dil Hai Chamakta Heera, 
Mai Tere Dil Ka Talabgar Hu,
Tu Mera Pyar Hai Mai Tera Pyar Hu,
Mera Dil Teri Mohabbat Ka DilSe Talabgar Hai,
Mujhko Tujhse Pyar Hai 
Mujhko Tujhse Pyar Hai,
Mujhko Tujhse Pyar Hai,
😍😍🥰🥰😘😘🌹🌹
💞DilSe 💞
💕💞💕❤💕💞💕
💓💞Hamsafar💞💓
💕💞💕❤💕💞💕