Kaise bhool gaya wo guzre huye din,
Lagta nahi tha uska #Dil,
Mere bin,
Doston se kaha karta tha wo bhi,
Kya ye bhi ji sakta hai,
Mere bin,
Mazaak ban jaaya karta tha,
jo Doston me,
Khud ko Tanha samjhta tha wo,
Mere bin,
Ise had-e-deewangi kahu,
ya pagalpan,
Tasawwar me wo baate kiya karta tha,
Mere bin,
Wo mausamo ke badalne se darta nahi tha lekin,
Bahaar Me murjhaya karta tha,
Mere bin,
Ab aas toot gayi uske aane ki,
Lagta hai jeena seekh chuka hai,
Mere bin...!!!
Read More
MD Irfan
No comments:
Post a Comment
Thank's a lot
Have a nice Day :)
MD Irfan